Khilta hua gulab dekho, ugta hua sooraj dekho, Baarish ki pehli boondh dekho, ho dulhan ki nazaakat sa. Maa ka pyaar dekho, Papa ka dulaar dekho, Bhai-behen ka rishta dekho, ho aasmaan kea nth sa . Bachon ki khushi dekho, Bholepan ki moorat dekho, Unki ek haseen dekho, ho chattaan pighlane sa. Yaaron ki dosti dekho, college ki masti dekho, Semester ka anth dekho, ho toofan ki gati sa. Sapne-wali job dekho, Promotion ka delay dekho, Frustration unki dekho, ho ichhadhaari nag sa. Sadak ki traffic dekho, Mobile ke tower dekho, Bharat ki aabadi dekho, ho pradushan ke dhool sa. Unchi ghar ke imaarat dekho, rehnewale ko dekho, Unki bhaagam-bhaagi dekho, ho cheenti ki fitrat sa. Phone ka impact dekho, sabki daastaan dekho, Har koi paas, phir bhi dekho; ho amber aur dhara sa. Paani ki bahaav dekho, Garmee ka sooraj dekho, Thand ki thandaai dekho, ho waqt ki raftaar sa. Ishq ka junoon dekho, Jung...